Zehan Bardashta Aghyaar o Shanasa sab se
Shahar Se Door yahan Soch Raha Hun Kab Se
Mai Badi Der Se Baitha Hua Veerane Me
Kaun Si Baat Nayi Hai Mere Afsaane Me
Zindagi Maael-e-Taqdeer hui Jaati Hai
Be Asar Har Nayi Tadbeer hui Jaati Hai
Apni Raaho me Raushan Kiye Khaabon ke Chiragh
Der Se Dhoondh Raha hun Gham-e- Hasti Se Firagh
Lauh-e- Dil Par Traashida wo Derina Khyaal
Raasta Bhool Ke Aa Nikle Koi Sheerin Jamaal
Bhool Kar Be Basi, Bechargi, Nakami, Thakan
Ta'ne Ghairon ke , Sitam Apno ke, Ghayal Tan Man
Umar Bhar Ke Liye Us Shokh Ka Ho Kar Rah Jaaun
Uski Zulfo Ke Khamo Pech Me Kho Kar Rah Jaaun
Kaash Yun Bhi Kisi Uljhan Ne Pukaara Hota
Kaash Yun Bhi Gham-e-Hasti Ka Madawa Hota
Taban Wasti
Wednesday, March 14, 2012
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment