Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Friday, March 23, 2012

Bargad Ka Aseer

Garam Loo Ke Jhonkon Ne
Barq Ki Nigaahon Ne
Beqaraar O Aajiz Sa
Dil Shikasta, Darmanda
Jab Bhi Mujko Chhora Hai
Zindagi Ki Raahon Me
Ek Darakht Bargad Ka
Mujhko Rok Leta Hai

Thandi Aah Bharne Ko
Dum Durust Karne Ko
Us Ke Naram Saaye Me
Thak Ke Baith Jata Hun

Aur Jab Bhadakte Hain
Aas Ke Haseen Shole
Rahnuma Sambhalte Hain
Qaafle Nikalte Hain
Wo Darakht Bargad Ka
Mujhko Tok Deta hai
Aab Deea Lahje Me
Hum Kalaam Hota Hai
Mujhko Chhor Kar Tum Bhi
Jaa rahe Ho Pardesi
Bhoola Bhatka Anjaana
Koi Door Ka Raahi
Aane Do Chale Jaana
Itni Jaldi Bhi Kiya Hai
Shaam Ke Andhere Se
Subha Ke Ujaale Tak
Faasla Hi Kitna Hai

Aur Mai Shikasta Paa
Sar Ba Pesh Afganda
Tishnagi Ke Talwon Ko
BeBasi Se Takta Hun
Zehan Ke Dareechon Ko
Nochta Hi Rahta Hun
Sochta Hi Rahta Hun

Taban Wasti

Tuesday, March 20, 2012

Yaqeen Ki Sarhadon Tak

Aadhi Raat Ko Darwaze Par jaane Kisne Dastak Di Thi
Maine Suni Aawaz Mai Utha Dawaze Ki Kundi Kholi

Jhank Ke Dekha Uper Neeche, Daayen Baayen, Chaaron Janib
Hu Ka Aalam Chahya Hua Tha, Har Ek Shai Pe Raat Thi Ghalib

Uf Tauba, Kitni Khamoshi Kitna Gahra Sannata Tha
Neend Me The Sab Pankh Pakheru, Sirf Hawa ka Zannata Tha

Thi Jo Agar Kuch Gaaon Me To Bas Janam Jale Phagun Ki Agni
Hawa Ka Aanchal, Os Ke Aansu, Pagal Raat Aur Chaand Ki Kashti

Rail Ki Siti, Patton Ki Khad Khad, Kutton Ki Teekhi Taane
Chikur Mikur Jhingur Ki , Ullu Ke Na're, Geedar Ki Azaane

Van Upvan Me Phool Khile The Kahin Bakul Tha Kahin Tha Bela
Door Khara Kuch Soch raha Tha Semal Ka Ek Ped Akela

Darwaze Ke bahr Lekin Mrghat Jaisi Khamoshi Thi
Soe Hue The Gaon K Baasi Door Door tak Nahin Tha Koi

Josh Tha Mere Tassaur ka wo ya Bhatakti Rooh Thi Koi
Darwaza Kisne Kharkaya, Kaun Tha Wo yeh Raaz Hai Ab Bhi