Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Monday, February 6, 2012

Bargahe Resalat Men Nazranze Aqeedat

Main Us Ki Bargah Men Sarnigoon Shrmindakhatir Hoon
Samajh Men Kuchh Nahin Aata Ki Us Ki Naat Kya Likkhoon

Khuda Jab Bhejta Hai Khud Durood Apne Payambar Par
Salaam Us Par Farishte Bhejte Rahte Hain Sar Ta Sar

Qadambosi Pe Hazir Jis Ke Hai Jibreel Sa Haatif
Jo Hai Kaunain Ke Sarbasta Har Asrar Se Waaqif

Fasahat Men Hai Laasani, Balaaghat Men Hai Behamta
Rukhe Anwar Ke Paiham Aaeena Lutfe Elaahi Ka

Wo Jis Ke Lams Se Jaan Aa Gaee Thi Khaakrezon Men
Wo Jis Ke Lutf Se Paida Hai Rifat Subhkhezon Men

Azal Se Jis Ki Hai Takhleeq, Jis Ka Hamnafas Quraan
Falak Jis Par Hai Naazan Wo Guhar Wo Noore Bepayaan

Alam Jis Ne Kiya Ooncha Jahan Men Haqparaston Ka
Mitaya Zor Jis Ne Sarkashon Ka Ceeradaston Ka

Sabhi Hooro Malak, Jinnaato Insaan Jis Ke Hain Khaadim
Sabhi Paighambaron Ka Muntaha, Sardaar Aur Khaatim

Wohi Hai Saahibe Laulaak, Wo Maqsood, Wo Mahmood
Jo Us Ka Naamlewa Hai Wo Indallaah Hai Masood

Hai Us Ki Jaabaja Quraan Men Tahseen Ai Taaban
Sanaa Taaha Hai Us Ki, Marhabaa Yaaseen Ai Taabaan