Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Friday, March 30, 2012

Is Anjuman-e-Irfani Me

Dhuaan Dhuaan Sa Hai Mahaul Jal Raha Hai Jahan
Kahan Hai Aman Mre Hum Nafas Hai Chain Khan

Labon Pe Tere tabassum Hai Kyun? Hansi Kaisi?
Hai Gham Hi Apan Muqaddar To Phir Khusi Kaisi?

Yeh Shadiyane, Khanakti Hui Yeh Gul Baangen
Talab Suroor Ki, Aish-o-Nishaat Ki Maangen

Yeh Qahqahe, Yeh Sharab-o-Shabab Ki Mahfil
Nahin Nahin, Yeh Nahin Hai Hayaat Ki Manzil

Laraz Raha Hun Mai Bechaargi Ki Raahon Me
Andhere Gherte Jaate Hain Mujhko Baahon Me

Mere Khuda Tu Mujhe Roshni Ki De Khairaat
Dikha Tu Raah Mujhe, Thaam Le Tu Mera Haath

Rangi Hui Si Yeh Parchayin Jo Hai Mera Tan
Shikasta Haal Hai, Beemar Hai Tar Daman

Giraft Me Hai Khyaalat Ke Harasan Hai
Hai Kas Ma Pursi Ke Aalam Me Aur Pareshan Hai

Guzar Gaye Jo Zamaane Wo Yahi Bataate Hain
Mushaahedaat - o- Hawadis Yahi Sikhaate Hain

Mai Jism Kahta Hun Jisko hai Ek Ajeeb Si Shai
Wo Natawan Hai, Wo Nazuk Hai, Wo Shikasta Hai

Wo Na Samajh Hai, Wo Na Aahal Hai, Wo Hai Nadaan
Gale Lagata Hai Beemariyon Ko Bad Unwaan

Jo Zulm Karta Hai Logon Pe, Zulm Sahta Hai
Jo Sirf Marne Ki Khaatir Hi Zinda Rahta Hai

Uchhal Degi Use Ek Din Ajal Be Raham
Sadenge Shahr-e-Khamoshan Me Ustakhan-o-Laham

Rahengi Gore Ghareban Me haddiyan Baaqi
Raseele Aamo Ki Ho Jaise Guthliyan Baaqi

Wo Haddiyan Hai Jinko Dekh kar Deewano Ko 
Suroor Aata hai Aye Hum Nafas To Aane Do

Wo Haddiyan Hain Tika Jin Pe Tha Badan Ka Makaan
Unhi Me Tha Gosht Chipka Hua, Tha Khoon Rawan

Unhin Ke Saath The Zinda Ghoroor-o- Makr-o - Fareb
Unhin Ke Saath The Zinda Hijaab-o-Sabr-o-Shakeb

Mere Nadeem! Nahin Kaam Ki Yeh Bu Lahbi
Tu Jaanta Hai Ek Shai Yahan Ki Hai Faani

Yeh Khud Farebi, Yeh Khud Aarayee Aur Khud Beeni
Tujhe Na Deen Ka Rakhengi Aur Na Duniya Ki

Na Kaam Aayegi Kheti Tere Na Maal-o-Zar
Najaat Ki Hai Tamanna To Ilm Haasil Kar

Tu Dekh Jism Ke Sikke Pe Zang Hai Ghalib
Wo Kha Ke Zang Badha Hai Budhaape Ki Jaanib

Jo Maawra Hai Har Ek Shai Se Wo Hai Neki
Hai Baat Aqal Ki, Karna Na Iski Andhekhi

Wo Jaanwar Hai Jo Be Ilm Hai Mre Humdum
Hai usme Jism Zeyada, Hai Aql-o-Danish kam

Hayaat -o-Ilm-o-Parakh Se Hai Aashanee Mujhe
Azeez Tar Hai Jawani Se Bhi Zaaeefi Mujhe

Hai Kaun Aarif-o-Saalik Mujhe Nahin Tha Pata
Hai Kaun Jism Ka Maalik Mujhe Nahin Tha Pata

Tha Zinda Rahna Bhi Dushwaar Marna Bhi Tha Kathin
Mai Aur Chaahta Phir Kitni Raaten Kitne Din

Bilaakhir Aa Gayi Zindagi Ki Shaam Ajab
Dili Muraad Meri Ho Gayi Hai Poori Ab

Mai Jaanta Hun Use Jisne Mujhko Dhaala Hai
Mai Maanta Hun Use Jisne Mujhko Paala Hai

Mujhe Hai Fikr-e-Jahan Raham kar Mre Maula
Wo Bande Tere Hain Jo Uqbaa Se Be Parwa

Wo Nazm-o-Zabt Se Aari, Wo Jehad Se Ghaafil
Hain Door Neki Se Yaksar, Badi Pe Hain Maail

Jawaan Mard, Jawan Auraten, Hawas Ke Aseer
Nahin Hai Unki Adaaon Me Pahli Si Taaseer

Ghalat Hain Unke Tareeqe, Ghalat Hain Unke Usool
Wo Aise Phool Hain Gulshan Me Jo Hain Na Maqbool

Hayaat Unke Liye Hai Sar Basar Ek Azaab
Zaeef Buglon Ki Manind Bhook Se Betab

Lagaaye Aas Me Baithe Kinare Dariya Par
Barahna Pa, Wo Barahna Nazar, Barahna Sar

Hain Machliyan Ki Har Ek Pal Unhe Sataati Hain
Unhe Deti Hai Wo Jul Aur Unhe Rulaati Hain

Wo Yaad Karte Hain Beete Dino Ko Hasrat Se
Wo Tera Naam Bhi Lete Hain Khauf-o-Dahshat Se

Wo Bande Hain Tere, Uqbaa Se hain Jo Be Parwaah
Mujhe Fikr-e- Jahan, Raham Kar Mere Maula

Taban Wasti

Nedaye Sokoot

Main Mughanni Hun Meri Rooh Ki Gahraee Me
Ek Naghma Hai Mai Bechain Hun Gaane Ke Liye
Meri Hasti ka Tassur Mre jazbaat ka Aks
Muztarib Hai Der Se Honto Pe Aane Ke Liye

Kaif-e-Awaz Nahin Lutf-e-Khamo Pech Nahin
Koi Unwan Nahin Mere Tarane Ke Liye
Garam Saanson Ka Tamaauj Na Baharon Ki Tarang
Maya-e-Dard Lutata Hun Zamaane Ke Liye

Mere Ahbaab Ki Takmeel-e-Junoo Ke Partaw
Shaahrahon Me Kahin Hain Kahin Bazaro Me
Kaarzaare  Gham-e-Hasti Me Mera Naghma Bhi
Dab Ke Rah Jaaye Na Girti Hui Deewaron Me

Ahl-e-Bazaar Ki Makkar Syaasat Ke Tufail
Dar Hai Yeh Bhi Kain Bik Jaye Na Bazaaron Me
Ho Na Jaye Kisi Zardaar Ka Bekas Pe Karam
Yeh Bhi Mumkin Hai Tul Jaye Na Deenaro Me

Munakas Hai Mere Aasaab Pe Uska Saaya
Jab Bhi Dekha Hai Use Deeda-e-Hairan Ki Tarha
Tab-e-Naazuk Pe Geran Hote Hain Jab Bhi Ahsaas
Dhaanp Leta Hai Mujhe Zulf-e-Pareshaan Ki Tarha

Jaam-e-Ishrat Se Sarshaar Khizaan Deeda Hai
Mera Humraaz Hai Wo Gardish-eDawran Ki Tarha
Har Qadam Par Meri Wo Tanqeed  Kiya Karta Hai
Ghoorta Rahta hai Farmooda-e-Yazdaan Ki Tarha

Bhed Khola Kai Baar Mere Ashkon Ne
Gule Pashzmurda Ke Rukhsaar Pe Shabnam Jaise
Zehan Ka Aaeena Purnoor Hua Hai Aksar
Jheel Pe Taaron Bhari Raat Ka Aalam Jaise

Dafa'atan Mere Tassaur Me Jahlak Uthta Hai
Mere Af'aal Pe Ahsaas Ka Marham Jaise
Yun Dabe Paaon Mere Khaab Me Aajata Hai
Koi Bichra Hua Bedaari Se Barhum Jaise

Meri Taqleeq Ka Mazhar Meri Khaamoshi Hai
Uljhano Se hai Gurezan Wo Ameen-o- Siddeeq
Mere Khaabon Ka Hai Parwarda Muhabbat Ka Namood
Wo Meri Rooh Ka Naghma Mera Ghammaz o Rafeeq

Koh Kun Sar ba Gareban Hai Junoon Julan Qais
Kis Ne Seekha Hai Bhala Meri Muhabbat Ka Tareeq
Kaun Pakdega Wo Taaier Jo Meri Rooh Me Hai
Kaun Laayega Mere Baad Achhooti Taqleeq

Murgh-e-Bismil Sa Tadapta Hai Shabistaano Me
Jaise Dosheza Ke Seene Me Koi Dafan Ho Raaz
Kaun Hai Mard Jo Us Raaz Ko Afshaan Karde
Kis Me  Jura'at Hai Ki Sun Le Mere Dil Ki Awaz

Mere Naghmon Ke Chaman Me Wo Dilkash Naghma
Jaise Khwaabeeda Shabistaan-e-Haram Me Shahnaaz
Jaise Tulsi Ho Akeli Gul -o-Gulzaar Se Door
Jaise Duniya-e-Taqaddus Me Gulistan-e-Hijaz

Shor Parwaz-e-Anadil Se Hai Larzan Kashti
Kaash Maujon Ka Talaatum Wo Sitam Dha Sakta
Cheekh Tufaan Ki Ban Jaaye Mera Taar-e-Nafas
Ista'aron Ki Zabaan Mai Nahin Samjha Sakta

Yeh Wo Naghma Hai Jo Mannat Kash-e-Awaaz Nahin
Yeh Wo Naala Hai Jo Honton Pe Nahin Aa Sakta
Dil Ki Awaaz Zbaan Par Nahin Laayi Jaati
Mai Jo Chaahun Bhi To Chilla Ke Nahin Gaa Sakta

Kiske Honton Pe Bhala Naghma-e-Rabbani Hai
Koi Alfaaz Ka Jaama Use Pahna Na Saka
Ek Naghma Hai Meri Rooh Ki Gahraai Me
Mujhko Gham Hai Mai Teri Bazm Me Wo La Na Saka

Taban Wasti

Thursday, March 29, 2012

Safed Haathi

Safed Haathi Safed Haathi
Pahar Par Se Utar Ke Neeche
Tarai Me Wo Tahal Rahe Hain
Agar Muafiq Hawa Chali To
Hawa Ki Jaanib Wo Chal Padenge
Agar Hawa Hogi Na Muaafiq
Wo Sar jhukaaye Khade Rahenge
Na Jaane Kis Par Hai Unki Nazren
Na Jaane Kaun Ab Hai Hadaf Unka

Taban Wasti

Tassur

'Karte Hain Hum Pyaar Gulon Se
Magar Juda Kar Dete hain Hum
Unko Gulshan Se, Paudon Se

Hum Ko Darakhton Se Hai Muhabbat
Magar Unhen Katwa Dete Hain
Jangal Se Ghar le Aate Hain
Chulhon Me Jalwa Dete Hain

Phir Is Me Hairani Kaisi
Aise Hain Gar Log Jahan Me
Jinko Chaha Jata Hai Jab
Badle Se Katrate Hain Wo
Milne Se Ghabrate Hain Wo

Taban Wasti