Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Thursday, April 12, 2012

Ek Nazam Paraai Si

Mujhe Nahin Hai Yeh Gham Zara Bhi
Ke Mai Sitam Deeda Be Sahaara
Junoon-o-Julaan-o-Be Sar-o-Pa
Andheri Raaton Ki Baag Thaame
Hazaar Sadiyon Se Maah-o-Anjum Ki Justaju Me
Bhatak Raha Hun

Mujhe Nahin Hai Yeh Gham Zara Bhi
Ke Dasht-o-Sehra
Meri Nigaahon Ki Khun Fishaani Se Motabar Hain
Falak Ki Naktakhdaaiyaan, Wahshaten Zamee Ki
Meri Hi Ghaflat Pe Munhasar Hain

Mujhe Yeh Gham Hai
Ke Sar Jhukaaye Kabhi Jo Guzroon
Tumhari Dard Aashna Gali Se
To Parda-e-Dar
Sarak Na Jaaye
Tumhaari Aankhon Ki Tund Sahba Chahlak Na Jaaye
Yeh Zindagi Phir Bahak Na Jaaye

Saneha

Dosto!

Tum Jise Puchte Ho Wo Ladka Mujhe
Ek Charni Me Murda Nazar Aaya Tha
Kya Hua Tha Use?
Jaane Kyun?
Ek Kunwaari Ki Maasoom Si Kokh Me
Wo Chala Aaya Tha

Aiteraf

Qosoor Mera Hai Bas Yahi Na
Ke Mai Tumhen Hasrat-o-Muhabbat Se Tak Raha Hun

Tumhara Bhi To Qosoor Hai yeh
Ke Behijabana Meri nazron Ke Saamne Tum
Ho Istaada

Khili Khili Si Tumhari Surat
Mere Muqaddar Ko Mashzda-e-Deed De Rahi Hai
Dhuli Dhuli Si Tumhari Rangat
Mujhe Dawat-e-Deed De rahi Hai
Mujhe Yeh Mahsoos Ho Raha Hai
Ke Jaise Tum Se Hi Zindagi Ki Hai Khush Kharami
Chaman Bhi Ho Tum Bahaar Bhi Tum
Hua hai Dil Mera Jis Pe Maail
Shukr Fishan Wo Nigaar Ho Tum

Kaho Na Aise Me Kya Karun Mai
Tumhen Na Dekhun To Kis Ko Dekhun

Khaleej

Tumhari Zulfon Ki Teergi Me
Wo Zard Gende Ka Sard Shola
Na Hont Mere Jala Sakega

Tumhari Aankhon Ki Jheel Me Tairte Sitare
Fareb Mujhko Na De Sakenge

Hazaron Pardon Se Jhankti Barahna Tajalli
Na Meri Chashm-e-Junoon Chaka Chaundh Kar Sakegi

Ke Mai To Hun Gard Baad-e-sahra
Andheri Raaton Ka Ek Musaafir
Tumhere Kooche Se Ittefaqan Guzar Raha Hun

Wednesday, April 11, 2012

Kalbiyat

Qaza Ke Rang Manch Par Rawan Dawan Hai Ek Nigaar
Dhanak Ke Saat Rano Ki Hai Khaddokhaal Pur Bahaar
Har Ek Lahza Muztarib
Har Ek Lamha Munqalib
Situm ShaƔr, Munfail
Fareb Khurda, Muzmahil

Kisi Ki Simt Gar Mude
Ho Kaamiyab Shaks Wo
Kisi Ki Simt Gar Jhuke
Ho Kaamraan Fard Wo

Mere Naseeb Me Magar
Na Daaire Na Zaawiye

Latafton Se Be Khabar
Mera Wajud-e-Benawa
Bhatak Raha Hai Chaarsu
Magan hai Apni Soch Me
Musarraten Hain Kya Bhala?
Hai Maut Kyun, Hayaat Kyun?
Bani Hai Kaainaat Kyun?
Hai Din Ke Baad Raat Kyun?

Ji Raha Hun Abas Tumhare Baghair

Tumhara Gham Hai Meri Kaamrani Ka Hissa
Kahun Main Kaise Ke Beete Dino Ka Hai Qissa

Ajeeb Shai Thi Muhabbat Tumhari Ae Humdum
Tumhari Yaad Se Hoti Kabhi Khushi Kabhi Gham

Tumhare Husn Ka Karta Tha Zikr Yaaron Se
Bataata Tha Unhen Ahwaal-e-Dil Ishaaron Se

Tumhara Naam Likha Karta Tha Ghtaaon Me
Khuda Se Maangta Tha Tumko Hi Duaaon Me

Tumhaare Husn Ka Partaw Tha Murghzaron Me
Tumhare Jism Ki Khushboo Thi Nawbahaaron Me

Agar che Dekhta Tha Sainkdon Nazaare Mai
Taras Raha Tha Faqat Deed Ko Tumhaare Mai

Agar Tha Zehan Me Kuch To Tumhara Paikar Tha
Magar Tha Wasl Ke Bas Khwaab Me Muyassar Tha

Tumhaare Gham Me Mai Sota Nahin Tha Raaton Ko
Mai Yaad Karta Tha Har Dum Tumhaari Baaton Ko

Tumhaara Misl Agar Mil Bhi Jaata Raahon Me
Muaafiq Aata Na Hargiz Meri Nigaahon Me

Yeh Baat Such Hai Ke Hoti Hai Dil Se Dil Ko Raah
Kisi Ko Chaahna Ji Jaan Se Nahin Hai Gunaah

Khyaal Aata Tha Dil Me Ke Tumko Dhundhun Mai
Mai Pyaar Karta Hun Tumse Tumhen Bataaun Mai

Dhuaan Dhuaan Si Har Ek Shai Thi Raahbar Maadoom
Tumhaare Ghar Ka Pata Tha Na Rasta Maaloom

Gham-e-Hyaat Se Begaana  Ho Gaya Tha Mai
Tumhaare Ishq Me Deewana Ho Gaya Tha Mai

Mujhe Yeh Gham Hai Ki Apna Tumhen Bana Na Saka
Na Jaane Tum Kahan Gum Ho Gaye Ke Paa Na Saka