Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Saturday, July 7, 2012

Ek Ghazal

Samundaron Men Safeene Saja Raha Hoon Main
Naye Sitare Khala Men Uga Raha Hoon Main

Naya Safar Hai Naye Geet Ga Raha Hoon Main
Tera Hi Aaina Tujh Ko Dikha Raha Hoon Main

Bichhar Ke Tujh Se Kahan Door Ja Raha Hoon Main
Sada Rahoonga Main Tujh Men Sada Raha Hoon Main

Isi Liye Ke Sanam Aashna Raha Hoon Main
Tumhari Han Men Faqat Han Mila Raha Hoon main

Mujhe Yaqeen Hai, Duniya Men Nek Bhi Honge
Ek Ajnabi Ko Gale Phir Laga Raha Hoon Main

Junoon Hai Mera Muharrik, Mera Amal Angez
Jahan Jahan Liye Jata Hai Ja Raha Hoon Main

Hai Mera Shaghl Dayaron Ko Motabar Rakhna
Bujhi Hui Thin Jo Shammen Jala Raha Hoon Main

Hai Sach Ke Jhoot Meri Guftagu Nahin Maaloom
Suna Tha Logon Se Jo Kuchh Suna Raha Hoon Main

Khafa Hoon Tujh Se Agar Main To Kya Buraai Hai
Khud Apne Aap Se Barson Khafa Raha Hoon Main

Rawan Dawan Rahi Har Lamha Zindagi Meri
Use Khabar Bhi Thi Aansoo Baha Raha Hoon Main

Naye Zamane Ki Hoti Hai Ibteda Mujh Se
Har Ek Daur Men "Taban" Naya Raha Hoon Main

Friday, July 6, 2012

Ek Istafhaam

Neele Kohsaar Ki God Me
Aadibasi Haseen Ladkiyan
Khandazan, Shaadman
Phool Mahuwe Ki Chunti Hui
Nit Naye Khaab Bunti Hui
Lakdiyan Kaat Ti
Jaadaye Umr Ki Khaaiyan Paat Ti
Wo Nahin Jaanti Hain Ke Cham Kham Hai Kya
Kya Hai Commercial Art Kya Hai Reya
Apni Dhun Me Magan
Geet Gaati Hui
Gungunati Hui
Mulki o Ghair Mulki Seyasat Ke Har Daawn Se Be Khabar


Sach Bata Aasma
Kab Milega Unhen Aage Badhne Ka Haq
Rang Laayegi Kab Unki Maasoomiyat
Kab Nikhar Aayengi
Unki Shadabiyan
Unki Tabaniyan
Unki Raanaiyan

Jalta Sawal

Haya Ki Maari
Wo Ladkiyan Apne Aanchalon Ko
Jo Choliyon Me Uras Rahi Hain
Kamar Ke Chaaron Taraf Dupatton Ko Kas Rahi Hain
Hawa Ki Halki Si Ek Shokhi Pe Is Tarah Jo Baras Rahi Hain
Hain Be Khabar Us Hawa Se Shayed
Jo Chal Rahi Hai Zamane Bhar Me

Agar Wahi Ek Hawa Ka Jhonkha
Yahan Bhi Phunche
Ke Jis Se Poshak Naariyon Ke
Ghubaar Ban kar Bikhar gaye Hain
Fiza Me Tahleel ho Gaye Hain
Kumaariyan Ban Gayi Hain Bikni, Monokni Aur Nude Yaksar

To Dukhtran e Watan Se Puchho
Shareer Jhonke Se Us Hawa Ke
Wo Apna Daman Bacha Sakengi ?
Commercial Art Ke Taqazon Se Apni Aankhen Chura Sakengi ?
Globe Kaari Se Khud Ko Mahfooz Rakh Sakengi ?