Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Thursday, April 5, 2012

Aankhon Ka Bojh

Neeli, Kaali, Bhoori Aankhen
Chamkeeli, Badami Aankhen
Teekhi, Surkh Sharabi Aankhen
Thaki Hui Si , Bojhal Aur Nandasi Aankhen
Bhooki Aankhen, Nangi Aankhen

Aankhon Ke Is Bojh Se dab Kar Mar Jaayengi
Piya Milan Ki Pyaasi Aankhen

EK Ladka

Peer Parai Wo Kya Jaane
Baat Bado Ki Wo Kab Maane
Shahron Ki Masmoom Fiza Se
Door Kahin Ek Jangli Ladka
Bhola Bhala Anjana Sa
Apni Dhun Me Soch Raha Tha
Mera Ghar Ek Jangal Me Hai
Mere Padosi Mere Saathi
Bhalu, Cheete, Sher Aur Haathi
Kaali Nagan Meri Padosan
Mai Unse Khaaif Rahta Hun
Mujhko Unse Dar Lagta Hai

Kaash kabhi Aisa Bhi Hota
Shahar Me Jaakar Rahta Mai Bhi
Aadmi Hote Mere Padosi

Husn-e-Rahguzar (Sonnet)

Ji Me Aata Hai Zamane Se Kinara Kar Lun
Meri Duniya Me Shab-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Zindagi Shorish-e-Matam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Kyun Na Ab Maut Ki Talkhi Hi Gawara Kar Lun

Rafta Rafta Mere Khwabon Ke Mahal Toot Gaye
Koi Deepak Koi Naghma Koi Saghar Na Mila
Sar-e-Shorida Ke Qaabil Koi Paththar Na Mila
Mere Rahbar Hi Mera Zad-e-Safar Loot Gaye

Teri Ra 'anai Pe Kuch To Haq Nahin Hai Apna
Phir Bhi Jab tere Sarapa Ka Khyaal Aata Hai
Dil Ki Waadi Me Ujaala Sa Bikhar Jaata Hai
Aain Mumkin Hai Tere Pyaar Ka Sundar Sapna

Teri Aawaz Tere Jism Ki Khushboo De De
Meri Hasti Ko Tera Halqa-e-Gesu De DE