Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Sunday, October 14, 2012

Paththar Ka Dil ( Ghazal)

Patthar Ka Dil, Patthar Ke Lab, Patthar Ki Aankhen Lana Hai
Patthar Ke Is Des Men Ab Patthar Ki Moorat Ban Jana Hai


Main Bulbul Ka Hosh Hoon Bhaai, Mera Kaam To Bas Gaana Hai
Mujh Ko Kuchh Maaloom Nahin Hai Kya Khona Hai Kya Paana Hai

Saans Hai Nafkh-e-Israfeeli, Dharkan Hai Jibreel Tarannum
Waqt Sitamgar Socch Raha Hai Chehra Jaana Pahchaana Hai


Badal Gayi Tasweer Khud Apni, Duniya Ki Taqdeer Na Badli
Farzane Ka Haal Na Puchho, Farzana Ab Deewana Hai


Door Kahin Par Aaftaab Ki Shamme Farozan Pighal Rahi Hai
Meri Palkon Par Saagar Ki Lahron Ka Taana Baana Hai

Dhoop Ke Gahre Sannaate Men, Baad-e-Samoom Ke Zannaate Men
Har Rasta Hai Anjaana Sa, Har Hamraahi Begaana Hai

Per Se Patte Jhar Jayenge, Pankh Pakheru Ur Jayenge
Baagh Ke Sundar Gul Booton Ko, Hanste Hanste Mar Jana Hai

Mai To Ek Kiran Hun Tanha, Mera Ek Makahz Bhi Hoga 
Jis Ke Liye Mai Dukh Sahta Hun, Kaun Hai Wo Kisne Jana Hai

Dhundoon Tujhko Basti Basti, Sehra Sehra, Gulshan Gulshan
Tere Surkh Labon Ke Aage Bhanwra ban Kar Mandlana Hai


Taban Wasti