Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Friday, March 30, 2012

Nedaye Sokoot

Main Mughanni Hun Meri Rooh Ki Gahraee Me
Ek Naghma Hai Mai Bechain Hun Gaane Ke Liye
Meri Hasti ka Tassur Mre jazbaat ka Aks
Muztarib Hai Der Se Honto Pe Aane Ke Liye

Kaif-e-Awaz Nahin Lutf-e-Khamo Pech Nahin
Koi Unwan Nahin Mere Tarane Ke Liye
Garam Saanson Ka Tamaauj Na Baharon Ki Tarang
Maya-e-Dard Lutata Hun Zamaane Ke Liye

Mere Ahbaab Ki Takmeel-e-Junoo Ke Partaw
Shaahrahon Me Kahin Hain Kahin Bazaro Me
Kaarzaare  Gham-e-Hasti Me Mera Naghma Bhi
Dab Ke Rah Jaaye Na Girti Hui Deewaron Me

Ahl-e-Bazaar Ki Makkar Syaasat Ke Tufail
Dar Hai Yeh Bhi Kain Bik Jaye Na Bazaaron Me
Ho Na Jaye Kisi Zardaar Ka Bekas Pe Karam
Yeh Bhi Mumkin Hai Tul Jaye Na Deenaro Me

Munakas Hai Mere Aasaab Pe Uska Saaya
Jab Bhi Dekha Hai Use Deeda-e-Hairan Ki Tarha
Tab-e-Naazuk Pe Geran Hote Hain Jab Bhi Ahsaas
Dhaanp Leta Hai Mujhe Zulf-e-Pareshaan Ki Tarha

Jaam-e-Ishrat Se Sarshaar Khizaan Deeda Hai
Mera Humraaz Hai Wo Gardish-eDawran Ki Tarha
Har Qadam Par Meri Wo Tanqeed  Kiya Karta Hai
Ghoorta Rahta hai Farmooda-e-Yazdaan Ki Tarha

Bhed Khola Kai Baar Mere Ashkon Ne
Gule Pashzmurda Ke Rukhsaar Pe Shabnam Jaise
Zehan Ka Aaeena Purnoor Hua Hai Aksar
Jheel Pe Taaron Bhari Raat Ka Aalam Jaise

Dafa'atan Mere Tassaur Me Jahlak Uthta Hai
Mere Af'aal Pe Ahsaas Ka Marham Jaise
Yun Dabe Paaon Mere Khaab Me Aajata Hai
Koi Bichra Hua Bedaari Se Barhum Jaise

Meri Taqleeq Ka Mazhar Meri Khaamoshi Hai
Uljhano Se hai Gurezan Wo Ameen-o- Siddeeq
Mere Khaabon Ka Hai Parwarda Muhabbat Ka Namood
Wo Meri Rooh Ka Naghma Mera Ghammaz o Rafeeq

Koh Kun Sar ba Gareban Hai Junoon Julan Qais
Kis Ne Seekha Hai Bhala Meri Muhabbat Ka Tareeq
Kaun Pakdega Wo Taaier Jo Meri Rooh Me Hai
Kaun Laayega Mere Baad Achhooti Taqleeq

Murgh-e-Bismil Sa Tadapta Hai Shabistaano Me
Jaise Dosheza Ke Seene Me Koi Dafan Ho Raaz
Kaun Hai Mard Jo Us Raaz Ko Afshaan Karde
Kis Me  Jura'at Hai Ki Sun Le Mere Dil Ki Awaz

Mere Naghmon Ke Chaman Me Wo Dilkash Naghma
Jaise Khwaabeeda Shabistaan-e-Haram Me Shahnaaz
Jaise Tulsi Ho Akeli Gul -o-Gulzaar Se Door
Jaise Duniya-e-Taqaddus Me Gulistan-e-Hijaz

Shor Parwaz-e-Anadil Se Hai Larzan Kashti
Kaash Maujon Ka Talaatum Wo Sitam Dha Sakta
Cheekh Tufaan Ki Ban Jaaye Mera Taar-e-Nafas
Ista'aron Ki Zabaan Mai Nahin Samjha Sakta

Yeh Wo Naghma Hai Jo Mannat Kash-e-Awaaz Nahin
Yeh Wo Naala Hai Jo Honton Pe Nahin Aa Sakta
Dil Ki Awaaz Zbaan Par Nahin Laayi Jaati
Mai Jo Chaahun Bhi To Chilla Ke Nahin Gaa Sakta

Kiske Honton Pe Bhala Naghma-e-Rabbani Hai
Koi Alfaaz Ka Jaama Use Pahna Na Saka
Ek Naghma Hai Meri Rooh Ki Gahraai Me
Mujhko Gham Hai Mai Teri Bazm Me Wo La Na Saka

Taban Wasti

No comments:

Post a Comment