Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Manavta Ka Sewak Tha Tu, Sab Se Tujhe Tha Pyar
Tu Ne Socha Bina Arth Aazadi Hai Bekar
Naaz Karen Ham Tujh Par Ai Nav Bharat Ke Autar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Teen March Attharah Sau Untalis Ki Ghari Pyari
Tere Janm Se Chamak Utha Gujrat Prant, Nausari
Nav Yug Ne Angrai Li Bharat Men Aai Bahar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Janm Liya Jab Tu Ne, Bharat Tha Zanjeer Se Jakra
Loot Ke Le Jate The Videshi Desh Ka Vaibhav Sara
Aise Andhere Yug Men Tu Ne Chamkaya Beopar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Shram, Udyam, Udyog Ka Tu Ne Sab Ko Path Parhaya
Zor Zulm Ke Virane Men Sukh Ka Diya Jalaya
Tujh Se Dekha Nahin Gaya Nirdhanta Ka Udgar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Shilpkala Seekhen, Vigyan Parhen Bharat Ke Log
Vaastavik Shiksha Se Door Hon Jan Gan Man Ke Rog
Khol Diye Too Ne Bharat Men Nav Vidya Ke Dwar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Lohe Ka Udyog Bara Qaem Hua Ek Manbhawwan
Shahr Basa Jamshedpur Ati Uttam Aur Ati Pawan
Sapna Jo Dekha Tha Too Ne Ho Gaya Wo Sakar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Rog Hate, Dukh Dard Mite, Naa Rahi Koi Majboori
Desh Ke Lakhon Logon Ki Ashaen Ho Gain Poori
Bhula Nahin Sakta Hai Bharat Tere Ye Aabhar
Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar
Monday, February 13, 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)