Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Tuesday, November 13, 2012

Fikr De (Ghazal)

Fkir De Ghalib Ki, Fan Iqbal Ka, Gham Meer Ka
De Naya Uslob Tab Ya Rab Mujhe Tahreer Ka

Har Sira Uljha Hua Tha Zulf Ki Zanjeer Ka
Raygan Hota Gaya Har Hausla Tasqeer Ka

Aankh Teri Dekh Kar Jab Bhi Ruka Mai Tishna Lab
Teri Abroo Par Guman Hone Laga Shamsheer Ka

Qatl Karke Usne Umar-e-Jawidan Bakhshi Mujhe
Mai Hua Marhoon-e-Minnat Ek But-e-BePeer Ka

Khoob Ya Nakhoob Samjhega Jo Teerandaz Hai
Mud Ke Peechhe Dekhna Shewa Nahin Hai Teer Ka

Aa Tassawur Me Mere Ek Baar Phir Ai Jan-e-Jaan
Tang Phir Hone Laga Halqa Meri Zanjeer Ka

Raushni Mangi Thi 'Taban' Mujhse Mehr-o-Maah Ne
Bas Ke Mai Bhi Aaina Tha Husne Be Taqseer Ka

Taban Wasti

Sunday, October 14, 2012

Paththar Ka Dil ( Ghazal)

Patthar Ka Dil, Patthar Ke Lab, Patthar Ki Aankhen Lana Hai
Patthar Ke Is Des Men Ab Patthar Ki Moorat Ban Jana Hai


Main Bulbul Ka Hosh Hoon Bhaai, Mera Kaam To Bas Gaana Hai
Mujh Ko Kuchh Maaloom Nahin Hai Kya Khona Hai Kya Paana Hai

Saans Hai Nafkh-e-Israfeeli, Dharkan Hai Jibreel Tarannum
Waqt Sitamgar Socch Raha Hai Chehra Jaana Pahchaana Hai


Badal Gayi Tasweer Khud Apni, Duniya Ki Taqdeer Na Badli
Farzane Ka Haal Na Puchho, Farzana Ab Deewana Hai


Door Kahin Par Aaftaab Ki Shamme Farozan Pighal Rahi Hai
Meri Palkon Par Saagar Ki Lahron Ka Taana Baana Hai

Dhoop Ke Gahre Sannaate Men, Baad-e-Samoom Ke Zannaate Men
Har Rasta Hai Anjaana Sa, Har Hamraahi Begaana Hai

Per Se Patte Jhar Jayenge, Pankh Pakheru Ur Jayenge
Baagh Ke Sundar Gul Booton Ko, Hanste Hanste Mar Jana Hai

Mai To Ek Kiran Hun Tanha, Mera Ek Makahz Bhi Hoga 
Jis Ke Liye Mai Dukh Sahta Hun, Kaun Hai Wo Kisne Jana Hai

Dhundoon Tujhko Basti Basti, Sehra Sehra, Gulshan Gulshan
Tere Surkh Labon Ke Aage Bhanwra ban Kar Mandlana Hai


Taban Wasti

Saturday, July 7, 2012

Ek Ghazal

Samundaron Men Safeene Saja Raha Hoon Main
Naye Sitare Khala Men Uga Raha Hoon Main

Naya Safar Hai Naye Geet Ga Raha Hoon Main
Tera Hi Aaina Tujh Ko Dikha Raha Hoon Main

Bichhar Ke Tujh Se Kahan Door Ja Raha Hoon Main
Sada Rahoonga Main Tujh Men Sada Raha Hoon Main

Isi Liye Ke Sanam Aashna Raha Hoon Main
Tumhari Han Men Faqat Han Mila Raha Hoon main

Mujhe Yaqeen Hai, Duniya Men Nek Bhi Honge
Ek Ajnabi Ko Gale Phir Laga Raha Hoon Main

Junoon Hai Mera Muharrik, Mera Amal Angez
Jahan Jahan Liye Jata Hai Ja Raha Hoon Main

Hai Mera Shaghl Dayaron Ko Motabar Rakhna
Bujhi Hui Thin Jo Shammen Jala Raha Hoon Main

Hai Sach Ke Jhoot Meri Guftagu Nahin Maaloom
Suna Tha Logon Se Jo Kuchh Suna Raha Hoon Main

Khafa Hoon Tujh Se Agar Main To Kya Buraai Hai
Khud Apne Aap Se Barson Khafa Raha Hoon Main

Rawan Dawan Rahi Har Lamha Zindagi Meri
Use Khabar Bhi Thi Aansoo Baha Raha Hoon Main

Naye Zamane Ki Hoti Hai Ibteda Mujh Se
Har Ek Daur Men "Taban" Naya Raha Hoon Main

Friday, July 6, 2012

Ek Istafhaam

Neele Kohsaar Ki God Me
Aadibasi Haseen Ladkiyan
Khandazan, Shaadman
Phool Mahuwe Ki Chunti Hui
Nit Naye Khaab Bunti Hui
Lakdiyan Kaat Ti
Jaadaye Umr Ki Khaaiyan Paat Ti
Wo Nahin Jaanti Hain Ke Cham Kham Hai Kya
Kya Hai Commercial Art Kya Hai Reya
Apni Dhun Me Magan
Geet Gaati Hui
Gungunati Hui
Mulki o Ghair Mulki Seyasat Ke Har Daawn Se Be Khabar


Sach Bata Aasma
Kab Milega Unhen Aage Badhne Ka Haq
Rang Laayegi Kab Unki Maasoomiyat
Kab Nikhar Aayengi
Unki Shadabiyan
Unki Tabaniyan
Unki Raanaiyan

Jalta Sawal

Haya Ki Maari
Wo Ladkiyan Apne Aanchalon Ko
Jo Choliyon Me Uras Rahi Hain
Kamar Ke Chaaron Taraf Dupatton Ko Kas Rahi Hain
Hawa Ki Halki Si Ek Shokhi Pe Is Tarah Jo Baras Rahi Hain
Hain Be Khabar Us Hawa Se Shayed
Jo Chal Rahi Hai Zamane Bhar Me

Agar Wahi Ek Hawa Ka Jhonkha
Yahan Bhi Phunche
Ke Jis Se Poshak Naariyon Ke
Ghubaar Ban kar Bikhar gaye Hain
Fiza Me Tahleel ho Gaye Hain
Kumaariyan Ban Gayi Hain Bikni, Monokni Aur Nude Yaksar

To Dukhtran e Watan Se Puchho
Shareer Jhonke Se Us Hawa Ke
Wo Apna Daman Bacha Sakengi ?
Commercial Art Ke Taqazon Se Apni Aankhen Chura Sakengi ?
Globe Kaari Se Khud Ko Mahfooz Rakh Sakengi ?

Tuesday, May 15, 2012

Har Aan Badalti Duniya Me

Mere Munne Zara Chaand Ko Dekhna
Kitna Dilkash Hai Wo Kitna Pyaara Hai Wo
Pahle Naakhoon Jaisa Wo Bareek Tha
Phir Wo Badhta Gaya Roz Badhta Gaya
Pahle Kashti Bana Ab Wo Football Hai

Phir Wo Ghat ta Rahega Ghate Ga Sada
Aur Ek Roz Maadoom Ho Jayega
Phir Isi Chaand ko Mere Noor-e-Nazar
Baad Amavas Ke Aur Parthma Ke Magar
Din Dhale Shaam Ko Dekh Paaoge Tum

Mere Munne Zara Chaand ko Dekhna
Saamne uske Nannha Sa Tara Bhi Hai
Uski Mamta Ka Jaise Sahaara Bhi Hai
Din Ko Suraj Se Aankhen Milane Ke baaad
Shaam Hote Wo Daudta Bhaagta
Apne Taare Se Milne Chala Aata Hai

Din Ko School Me Sar Khapane ke Baad
Jaise Shaam Ke Waqt Aa Jati Hun
Apni Godi Me Tum Ko Bitha Leti Hun
Apne Seene Se Tumko Laga Leti Hun

Kitne Dilkash Ho Tum Kitne Pyaare Ho Tum
Mai Wahi Chaand Hun Mere Taare Ho Tum

Thursday, April 12, 2012

Ek Nazam Paraai Si

Mujhe Nahin Hai Yeh Gham Zara Bhi
Ke Mai Sitam Deeda Be Sahaara
Junoon-o-Julaan-o-Be Sar-o-Pa
Andheri Raaton Ki Baag Thaame
Hazaar Sadiyon Se Maah-o-Anjum Ki Justaju Me
Bhatak Raha Hun

Mujhe Nahin Hai Yeh Gham Zara Bhi
Ke Dasht-o-Sehra
Meri Nigaahon Ki Khun Fishaani Se Motabar Hain
Falak Ki Naktakhdaaiyaan, Wahshaten Zamee Ki
Meri Hi Ghaflat Pe Munhasar Hain

Mujhe Yeh Gham Hai
Ke Sar Jhukaaye Kabhi Jo Guzroon
Tumhari Dard Aashna Gali Se
To Parda-e-Dar
Sarak Na Jaaye
Tumhaari Aankhon Ki Tund Sahba Chahlak Na Jaaye
Yeh Zindagi Phir Bahak Na Jaaye

Saneha

Dosto!

Tum Jise Puchte Ho Wo Ladka Mujhe
Ek Charni Me Murda Nazar Aaya Tha
Kya Hua Tha Use?
Jaane Kyun?
Ek Kunwaari Ki Maasoom Si Kokh Me
Wo Chala Aaya Tha

Aiteraf

Qosoor Mera Hai Bas Yahi Na
Ke Mai Tumhen Hasrat-o-Muhabbat Se Tak Raha Hun

Tumhara Bhi To Qosoor Hai yeh
Ke Behijabana Meri nazron Ke Saamne Tum
Ho Istaada

Khili Khili Si Tumhari Surat
Mere Muqaddar Ko Mashzda-e-Deed De Rahi Hai
Dhuli Dhuli Si Tumhari Rangat
Mujhe Dawat-e-Deed De rahi Hai
Mujhe Yeh Mahsoos Ho Raha Hai
Ke Jaise Tum Se Hi Zindagi Ki Hai Khush Kharami
Chaman Bhi Ho Tum Bahaar Bhi Tum
Hua hai Dil Mera Jis Pe Maail
Shukr Fishan Wo Nigaar Ho Tum

Kaho Na Aise Me Kya Karun Mai
Tumhen Na Dekhun To Kis Ko Dekhun

Khaleej

Tumhari Zulfon Ki Teergi Me
Wo Zard Gende Ka Sard Shola
Na Hont Mere Jala Sakega

Tumhari Aankhon Ki Jheel Me Tairte Sitare
Fareb Mujhko Na De Sakenge

Hazaron Pardon Se Jhankti Barahna Tajalli
Na Meri Chashm-e-Junoon Chaka Chaundh Kar Sakegi

Ke Mai To Hun Gard Baad-e-sahra
Andheri Raaton Ka Ek Musaafir
Tumhere Kooche Se Ittefaqan Guzar Raha Hun

Wednesday, April 11, 2012

Kalbiyat

Qaza Ke Rang Manch Par Rawan Dawan Hai Ek Nigaar
Dhanak Ke Saat Rano Ki Hai Khaddokhaal Pur Bahaar
Har Ek Lahza Muztarib
Har Ek Lamha Munqalib
Situm ShaƔr, Munfail
Fareb Khurda, Muzmahil

Kisi Ki Simt Gar Mude
Ho Kaamiyab Shaks Wo
Kisi Ki Simt Gar Jhuke
Ho Kaamraan Fard Wo

Mere Naseeb Me Magar
Na Daaire Na Zaawiye

Latafton Se Be Khabar
Mera Wajud-e-Benawa
Bhatak Raha Hai Chaarsu
Magan hai Apni Soch Me
Musarraten Hain Kya Bhala?
Hai Maut Kyun, Hayaat Kyun?
Bani Hai Kaainaat Kyun?
Hai Din Ke Baad Raat Kyun?

Ji Raha Hun Abas Tumhare Baghair

Tumhara Gham Hai Meri Kaamrani Ka Hissa
Kahun Main Kaise Ke Beete Dino Ka Hai Qissa

Ajeeb Shai Thi Muhabbat Tumhari Ae Humdum
Tumhari Yaad Se Hoti Kabhi Khushi Kabhi Gham

Tumhare Husn Ka Karta Tha Zikr Yaaron Se
Bataata Tha Unhen Ahwaal-e-Dil Ishaaron Se

Tumhara Naam Likha Karta Tha Ghtaaon Me
Khuda Se Maangta Tha Tumko Hi Duaaon Me

Tumhaare Husn Ka Partaw Tha Murghzaron Me
Tumhare Jism Ki Khushboo Thi Nawbahaaron Me

Agar che Dekhta Tha Sainkdon Nazaare Mai
Taras Raha Tha Faqat Deed Ko Tumhaare Mai

Agar Tha Zehan Me Kuch To Tumhara Paikar Tha
Magar Tha Wasl Ke Bas Khwaab Me Muyassar Tha

Tumhaare Gham Me Mai Sota Nahin Tha Raaton Ko
Mai Yaad Karta Tha Har Dum Tumhaari Baaton Ko

Tumhaara Misl Agar Mil Bhi Jaata Raahon Me
Muaafiq Aata Na Hargiz Meri Nigaahon Me

Yeh Baat Such Hai Ke Hoti Hai Dil Se Dil Ko Raah
Kisi Ko Chaahna Ji Jaan Se Nahin Hai Gunaah

Khyaal Aata Tha Dil Me Ke Tumko Dhundhun Mai
Mai Pyaar Karta Hun Tumse Tumhen Bataaun Mai

Dhuaan Dhuaan Si Har Ek Shai Thi Raahbar Maadoom
Tumhaare Ghar Ka Pata Tha Na Rasta Maaloom

Gham-e-Hyaat Se Begaana  Ho Gaya Tha Mai
Tumhaare Ishq Me Deewana Ho Gaya Tha Mai

Mujhe Yeh Gham Hai Ki Apna Tumhen Bana Na Saka
Na Jaane Tum Kahan Gum Ho Gaye Ke Paa Na Saka


Thursday, April 5, 2012

Aankhon Ka Bojh

Neeli, Kaali, Bhoori Aankhen
Chamkeeli, Badami Aankhen
Teekhi, Surkh Sharabi Aankhen
Thaki Hui Si , Bojhal Aur Nandasi Aankhen
Bhooki Aankhen, Nangi Aankhen

Aankhon Ke Is Bojh Se dab Kar Mar Jaayengi
Piya Milan Ki Pyaasi Aankhen

EK Ladka

Peer Parai Wo Kya Jaane
Baat Bado Ki Wo Kab Maane
Shahron Ki Masmoom Fiza Se
Door Kahin Ek Jangli Ladka
Bhola Bhala Anjana Sa
Apni Dhun Me Soch Raha Tha
Mera Ghar Ek Jangal Me Hai
Mere Padosi Mere Saathi
Bhalu, Cheete, Sher Aur Haathi
Kaali Nagan Meri Padosan
Mai Unse Khaaif Rahta Hun
Mujhko Unse Dar Lagta Hai

Kaash kabhi Aisa Bhi Hota
Shahar Me Jaakar Rahta Mai Bhi
Aadmi Hote Mere Padosi

Husn-e-Rahguzar (Sonnet)

Ji Me Aata Hai Zamane Se Kinara Kar Lun
Meri Duniya Me Shab-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Zindagi Shorish-e-Matam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Kyun Na Ab Maut Ki Talkhi Hi Gawara Kar Lun

Rafta Rafta Mere Khwabon Ke Mahal Toot Gaye
Koi Deepak Koi Naghma Koi Saghar Na Mila
Sar-e-Shorida Ke Qaabil Koi Paththar Na Mila
Mere Rahbar Hi Mera Zad-e-Safar Loot Gaye

Teri Ra 'anai Pe Kuch To Haq Nahin Hai Apna
Phir Bhi Jab tere Sarapa Ka Khyaal Aata Hai
Dil Ki Waadi Me Ujaala Sa Bikhar Jaata Hai
Aain Mumkin Hai Tere Pyaar Ka Sundar Sapna

Teri Aawaz Tere Jism Ki Khushboo De De
Meri Hasti Ko Tera Halqa-e-Gesu De DE

Friday, March 30, 2012

Is Anjuman-e-Irfani Me

Dhuaan Dhuaan Sa Hai Mahaul Jal Raha Hai Jahan
Kahan Hai Aman Mre Hum Nafas Hai Chain Khan

Labon Pe Tere tabassum Hai Kyun? Hansi Kaisi?
Hai Gham Hi Apan Muqaddar To Phir Khusi Kaisi?

Yeh Shadiyane, Khanakti Hui Yeh Gul Baangen
Talab Suroor Ki, Aish-o-Nishaat Ki Maangen

Yeh Qahqahe, Yeh Sharab-o-Shabab Ki Mahfil
Nahin Nahin, Yeh Nahin Hai Hayaat Ki Manzil

Laraz Raha Hun Mai Bechaargi Ki Raahon Me
Andhere Gherte Jaate Hain Mujhko Baahon Me

Mere Khuda Tu Mujhe Roshni Ki De Khairaat
Dikha Tu Raah Mujhe, Thaam Le Tu Mera Haath

Rangi Hui Si Yeh Parchayin Jo Hai Mera Tan
Shikasta Haal Hai, Beemar Hai Tar Daman

Giraft Me Hai Khyaalat Ke Harasan Hai
Hai Kas Ma Pursi Ke Aalam Me Aur Pareshan Hai

Guzar Gaye Jo Zamaane Wo Yahi Bataate Hain
Mushaahedaat - o- Hawadis Yahi Sikhaate Hain

Mai Jism Kahta Hun Jisko hai Ek Ajeeb Si Shai
Wo Natawan Hai, Wo Nazuk Hai, Wo Shikasta Hai

Wo Na Samajh Hai, Wo Na Aahal Hai, Wo Hai Nadaan
Gale Lagata Hai Beemariyon Ko Bad Unwaan

Jo Zulm Karta Hai Logon Pe, Zulm Sahta Hai
Jo Sirf Marne Ki Khaatir Hi Zinda Rahta Hai

Uchhal Degi Use Ek Din Ajal Be Raham
Sadenge Shahr-e-Khamoshan Me Ustakhan-o-Laham

Rahengi Gore Ghareban Me haddiyan Baaqi
Raseele Aamo Ki Ho Jaise Guthliyan Baaqi

Wo Haddiyan Hai Jinko Dekh kar Deewano Ko 
Suroor Aata hai Aye Hum Nafas To Aane Do

Wo Haddiyan Hain Tika Jin Pe Tha Badan Ka Makaan
Unhi Me Tha Gosht Chipka Hua, Tha Khoon Rawan

Unhin Ke Saath The Zinda Ghoroor-o- Makr-o - Fareb
Unhin Ke Saath The Zinda Hijaab-o-Sabr-o-Shakeb

Mere Nadeem! Nahin Kaam Ki Yeh Bu Lahbi
Tu Jaanta Hai Ek Shai Yahan Ki Hai Faani

Yeh Khud Farebi, Yeh Khud Aarayee Aur Khud Beeni
Tujhe Na Deen Ka Rakhengi Aur Na Duniya Ki

Na Kaam Aayegi Kheti Tere Na Maal-o-Zar
Najaat Ki Hai Tamanna To Ilm Haasil Kar

Tu Dekh Jism Ke Sikke Pe Zang Hai Ghalib
Wo Kha Ke Zang Badha Hai Budhaape Ki Jaanib

Jo Maawra Hai Har Ek Shai Se Wo Hai Neki
Hai Baat Aqal Ki, Karna Na Iski Andhekhi

Wo Jaanwar Hai Jo Be Ilm Hai Mre Humdum
Hai usme Jism Zeyada, Hai Aql-o-Danish kam

Hayaat -o-Ilm-o-Parakh Se Hai Aashanee Mujhe
Azeez Tar Hai Jawani Se Bhi Zaaeefi Mujhe

Hai Kaun Aarif-o-Saalik Mujhe Nahin Tha Pata
Hai Kaun Jism Ka Maalik Mujhe Nahin Tha Pata

Tha Zinda Rahna Bhi Dushwaar Marna Bhi Tha Kathin
Mai Aur Chaahta Phir Kitni Raaten Kitne Din

Bilaakhir Aa Gayi Zindagi Ki Shaam Ajab
Dili Muraad Meri Ho Gayi Hai Poori Ab

Mai Jaanta Hun Use Jisne Mujhko Dhaala Hai
Mai Maanta Hun Use Jisne Mujhko Paala Hai

Mujhe Hai Fikr-e-Jahan Raham kar Mre Maula
Wo Bande Tere Hain Jo Uqbaa Se Be Parwa

Wo Nazm-o-Zabt Se Aari, Wo Jehad Se Ghaafil
Hain Door Neki Se Yaksar, Badi Pe Hain Maail

Jawaan Mard, Jawan Auraten, Hawas Ke Aseer
Nahin Hai Unki Adaaon Me Pahli Si Taaseer

Ghalat Hain Unke Tareeqe, Ghalat Hain Unke Usool
Wo Aise Phool Hain Gulshan Me Jo Hain Na Maqbool

Hayaat Unke Liye Hai Sar Basar Ek Azaab
Zaeef Buglon Ki Manind Bhook Se Betab

Lagaaye Aas Me Baithe Kinare Dariya Par
Barahna Pa, Wo Barahna Nazar, Barahna Sar

Hain Machliyan Ki Har Ek Pal Unhe Sataati Hain
Unhe Deti Hai Wo Jul Aur Unhe Rulaati Hain

Wo Yaad Karte Hain Beete Dino Ko Hasrat Se
Wo Tera Naam Bhi Lete Hain Khauf-o-Dahshat Se

Wo Bande Hain Tere, Uqbaa Se hain Jo Be Parwaah
Mujhe Fikr-e- Jahan, Raham Kar Mere Maula

Taban Wasti

Nedaye Sokoot

Main Mughanni Hun Meri Rooh Ki Gahraee Me
Ek Naghma Hai Mai Bechain Hun Gaane Ke Liye
Meri Hasti ka Tassur Mre jazbaat ka Aks
Muztarib Hai Der Se Honto Pe Aane Ke Liye

Kaif-e-Awaz Nahin Lutf-e-Khamo Pech Nahin
Koi Unwan Nahin Mere Tarane Ke Liye
Garam Saanson Ka Tamaauj Na Baharon Ki Tarang
Maya-e-Dard Lutata Hun Zamaane Ke Liye

Mere Ahbaab Ki Takmeel-e-Junoo Ke Partaw
Shaahrahon Me Kahin Hain Kahin Bazaro Me
Kaarzaare  Gham-e-Hasti Me Mera Naghma Bhi
Dab Ke Rah Jaaye Na Girti Hui Deewaron Me

Ahl-e-Bazaar Ki Makkar Syaasat Ke Tufail
Dar Hai Yeh Bhi Kain Bik Jaye Na Bazaaron Me
Ho Na Jaye Kisi Zardaar Ka Bekas Pe Karam
Yeh Bhi Mumkin Hai Tul Jaye Na Deenaro Me

Munakas Hai Mere Aasaab Pe Uska Saaya
Jab Bhi Dekha Hai Use Deeda-e-Hairan Ki Tarha
Tab-e-Naazuk Pe Geran Hote Hain Jab Bhi Ahsaas
Dhaanp Leta Hai Mujhe Zulf-e-Pareshaan Ki Tarha

Jaam-e-Ishrat Se Sarshaar Khizaan Deeda Hai
Mera Humraaz Hai Wo Gardish-eDawran Ki Tarha
Har Qadam Par Meri Wo Tanqeed  Kiya Karta Hai
Ghoorta Rahta hai Farmooda-e-Yazdaan Ki Tarha

Bhed Khola Kai Baar Mere Ashkon Ne
Gule Pashzmurda Ke Rukhsaar Pe Shabnam Jaise
Zehan Ka Aaeena Purnoor Hua Hai Aksar
Jheel Pe Taaron Bhari Raat Ka Aalam Jaise

Dafa'atan Mere Tassaur Me Jahlak Uthta Hai
Mere Af'aal Pe Ahsaas Ka Marham Jaise
Yun Dabe Paaon Mere Khaab Me Aajata Hai
Koi Bichra Hua Bedaari Se Barhum Jaise

Meri Taqleeq Ka Mazhar Meri Khaamoshi Hai
Uljhano Se hai Gurezan Wo Ameen-o- Siddeeq
Mere Khaabon Ka Hai Parwarda Muhabbat Ka Namood
Wo Meri Rooh Ka Naghma Mera Ghammaz o Rafeeq

Koh Kun Sar ba Gareban Hai Junoon Julan Qais
Kis Ne Seekha Hai Bhala Meri Muhabbat Ka Tareeq
Kaun Pakdega Wo Taaier Jo Meri Rooh Me Hai
Kaun Laayega Mere Baad Achhooti Taqleeq

Murgh-e-Bismil Sa Tadapta Hai Shabistaano Me
Jaise Dosheza Ke Seene Me Koi Dafan Ho Raaz
Kaun Hai Mard Jo Us Raaz Ko Afshaan Karde
Kis Me  Jura'at Hai Ki Sun Le Mere Dil Ki Awaz

Mere Naghmon Ke Chaman Me Wo Dilkash Naghma
Jaise Khwaabeeda Shabistaan-e-Haram Me Shahnaaz
Jaise Tulsi Ho Akeli Gul -o-Gulzaar Se Door
Jaise Duniya-e-Taqaddus Me Gulistan-e-Hijaz

Shor Parwaz-e-Anadil Se Hai Larzan Kashti
Kaash Maujon Ka Talaatum Wo Sitam Dha Sakta
Cheekh Tufaan Ki Ban Jaaye Mera Taar-e-Nafas
Ista'aron Ki Zabaan Mai Nahin Samjha Sakta

Yeh Wo Naghma Hai Jo Mannat Kash-e-Awaaz Nahin
Yeh Wo Naala Hai Jo Honton Pe Nahin Aa Sakta
Dil Ki Awaaz Zbaan Par Nahin Laayi Jaati
Mai Jo Chaahun Bhi To Chilla Ke Nahin Gaa Sakta

Kiske Honton Pe Bhala Naghma-e-Rabbani Hai
Koi Alfaaz Ka Jaama Use Pahna Na Saka
Ek Naghma Hai Meri Rooh Ki Gahraai Me
Mujhko Gham Hai Mai Teri Bazm Me Wo La Na Saka

Taban Wasti

Thursday, March 29, 2012

Safed Haathi

Safed Haathi Safed Haathi
Pahar Par Se Utar Ke Neeche
Tarai Me Wo Tahal Rahe Hain
Agar Muafiq Hawa Chali To
Hawa Ki Jaanib Wo Chal Padenge
Agar Hawa Hogi Na Muaafiq
Wo Sar jhukaaye Khade Rahenge
Na Jaane Kis Par Hai Unki Nazren
Na Jaane Kaun Ab Hai Hadaf Unka

Taban Wasti

Tassur

'Karte Hain Hum Pyaar Gulon Se
Magar Juda Kar Dete hain Hum
Unko Gulshan Se, Paudon Se

Hum Ko Darakhton Se Hai Muhabbat
Magar Unhen Katwa Dete Hain
Jangal Se Ghar le Aate Hain
Chulhon Me Jalwa Dete Hain

Phir Is Me Hairani Kaisi
Aise Hain Gar Log Jahan Me
Jinko Chaha Jata Hai Jab
Badle Se Katrate Hain Wo
Milne Se Ghabrate Hain Wo

Taban Wasti

Friday, March 23, 2012

Bargad Ka Aseer

Garam Loo Ke Jhonkon Ne
Barq Ki Nigaahon Ne
Beqaraar O Aajiz Sa
Dil Shikasta, Darmanda
Jab Bhi Mujko Chhora Hai
Zindagi Ki Raahon Me
Ek Darakht Bargad Ka
Mujhko Rok Leta Hai

Thandi Aah Bharne Ko
Dum Durust Karne Ko
Us Ke Naram Saaye Me
Thak Ke Baith Jata Hun

Aur Jab Bhadakte Hain
Aas Ke Haseen Shole
Rahnuma Sambhalte Hain
Qaafle Nikalte Hain
Wo Darakht Bargad Ka
Mujhko Tok Deta hai
Aab Deea Lahje Me
Hum Kalaam Hota Hai
Mujhko Chhor Kar Tum Bhi
Jaa rahe Ho Pardesi
Bhoola Bhatka Anjaana
Koi Door Ka Raahi
Aane Do Chale Jaana
Itni Jaldi Bhi Kiya Hai
Shaam Ke Andhere Se
Subha Ke Ujaale Tak
Faasla Hi Kitna Hai

Aur Mai Shikasta Paa
Sar Ba Pesh Afganda
Tishnagi Ke Talwon Ko
BeBasi Se Takta Hun
Zehan Ke Dareechon Ko
Nochta Hi Rahta Hun
Sochta Hi Rahta Hun

Taban Wasti

Tuesday, March 20, 2012

Yaqeen Ki Sarhadon Tak

Aadhi Raat Ko Darwaze Par jaane Kisne Dastak Di Thi
Maine Suni Aawaz Mai Utha Dawaze Ki Kundi Kholi

Jhank Ke Dekha Uper Neeche, Daayen Baayen, Chaaron Janib
Hu Ka Aalam Chahya Hua Tha, Har Ek Shai Pe Raat Thi Ghalib

Uf Tauba, Kitni Khamoshi Kitna Gahra Sannata Tha
Neend Me The Sab Pankh Pakheru, Sirf Hawa ka Zannata Tha

Thi Jo Agar Kuch Gaaon Me To Bas Janam Jale Phagun Ki Agni
Hawa Ka Aanchal, Os Ke Aansu, Pagal Raat Aur Chaand Ki Kashti

Rail Ki Siti, Patton Ki Khad Khad, Kutton Ki Teekhi Taane
Chikur Mikur Jhingur Ki , Ullu Ke Na're, Geedar Ki Azaane

Van Upvan Me Phool Khile The Kahin Bakul Tha Kahin Tha Bela
Door Khara Kuch Soch raha Tha Semal Ka Ek Ped Akela

Darwaze Ke bahr Lekin Mrghat Jaisi Khamoshi Thi
Soe Hue The Gaon K Baasi Door Door tak Nahin Tha Koi

Josh Tha Mere Tassaur ka wo ya Bhatakti Rooh Thi Koi
Darwaza Kisne Kharkaya, Kaun Tha Wo yeh Raaz Hai Ab Bhi

Wednesday, March 14, 2012

Barg-e-Aawara

Zehan Bardashta Aghyaar o Shanasa sab se
Shahar Se Door yahan Soch Raha Hun Kab Se

Mai Badi Der Se Baitha Hua Veerane Me
Kaun Si Baat Nayi Hai Mere Afsaane Me

Zindagi Maael-e-Taqdeer hui Jaati Hai
Be Asar Har Nayi Tadbeer hui Jaati Hai

Apni Raaho me Raushan Kiye Khaabon ke Chiragh
Der Se Dhoondh Raha hun Gham-e- Hasti Se Firagh

Lauh-e- Dil Par Traashida wo Derina Khyaal
Raasta Bhool Ke Aa Nikle Koi Sheerin Jamaal

Bhool Kar Be Basi, Bechargi, Nakami, Thakan
Ta'ne Ghairon ke , Sitam Apno ke, Ghayal Tan Man

Umar Bhar Ke Liye Us Shokh Ka Ho Kar Rah Jaaun
Uski Zulfo Ke Khamo Pech Me Kho Kar Rah Jaaun

Kaash Yun Bhi Kisi Uljhan Ne Pukaara Hota
Kaash Yun Bhi Gham-e-Hasti Ka Madawa Hota


Taban Wasti

Monday, March 5, 2012

Taash Ka Makaan

Bawan Ki Chauthai Terah
Paanch Paanch Aazaaye Hissi Aur Aazaaye Feli Dono
Rooh Hai Bibi Dil Hai Sahib
Zehan Ghulaam Hamesha Se Hai
Gham Ka Maara

Monday, February 13, 2012

Ek Geet Jamshedji Nausherwanji Tata Ki Nazr

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Manavta Ka Sewak Tha Tu, Sab Se Tujhe Tha Pyar
Tu Ne Socha Bina Arth Aazadi Hai Bekar
Naaz Karen Ham Tujh Par Ai Nav Bharat Ke Autar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Teen March Attharah Sau Untalis Ki Ghari Pyari
Tere Janm Se Chamak Utha Gujrat Prant, Nausari
Nav Yug Ne Angrai Li Bharat Men Aai Bahar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Janm Liya Jab Tu Ne, Bharat Tha Zanjeer Se Jakra
Loot Ke Le Jate The Videshi Desh Ka Vaibhav Sara
Aise Andhere Yug Men Tu Ne Chamkaya Beopar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Shram, Udyam, Udyog Ka Tu Ne Sab Ko Path Parhaya
Zor Zulm Ke Virane Men Sukh Ka Diya Jalaya
Tujh Se Dekha Nahin Gaya Nirdhanta Ka Udgar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Shilpkala Seekhen, Vigyan Parhen Bharat Ke Log
Vaastavik Shiksha Se Door Hon Jan Gan Man Ke Rog
Khol Diye Too Ne Bharat Men Nav Vidya Ke Dwar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Lohe Ka Udyog Bara Qaem Hua Ek Manbhawwan
Shahr Basa Jamshedpur Ati Uttam Aur Ati Pawan
Sapna Jo Dekha Tha Too Ne Ho Gaya Wo Sakar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Rog Hate, Dukh Dard Mite, Naa Rahi Koi Majboori
Desh Ke Lakhon Logon Ki Ashaen Ho Gain Poori
Bhula Nahin Sakta Hai Bharat Tere Ye Aabhar

Jamshedji Nausherwanji Teri Jaijaikar

Monday, February 6, 2012

Bargahe Resalat Men Nazranze Aqeedat

Main Us Ki Bargah Men Sarnigoon Shrmindakhatir Hoon
Samajh Men Kuchh Nahin Aata Ki Us Ki Naat Kya Likkhoon

Khuda Jab Bhejta Hai Khud Durood Apne Payambar Par
Salaam Us Par Farishte Bhejte Rahte Hain Sar Ta Sar

Qadambosi Pe Hazir Jis Ke Hai Jibreel Sa Haatif
Jo Hai Kaunain Ke Sarbasta Har Asrar Se Waaqif

Fasahat Men Hai Laasani, Balaaghat Men Hai Behamta
Rukhe Anwar Ke Paiham Aaeena Lutfe Elaahi Ka

Wo Jis Ke Lams Se Jaan Aa Gaee Thi Khaakrezon Men
Wo Jis Ke Lutf Se Paida Hai Rifat Subhkhezon Men

Azal Se Jis Ki Hai Takhleeq, Jis Ka Hamnafas Quraan
Falak Jis Par Hai Naazan Wo Guhar Wo Noore Bepayaan

Alam Jis Ne Kiya Ooncha Jahan Men Haqparaston Ka
Mitaya Zor Jis Ne Sarkashon Ka Ceeradaston Ka

Sabhi Hooro Malak, Jinnaato Insaan Jis Ke Hain Khaadim
Sabhi Paighambaron Ka Muntaha, Sardaar Aur Khaatim

Wohi Hai Saahibe Laulaak, Wo Maqsood, Wo Mahmood
Jo Us Ka Naamlewa Hai Wo Indallaah Hai Masood

Hai Us Ki Jaabaja Quraan Men Tahseen Ai Taaban
Sanaa Taaha Hai Us Ki, Marhabaa Yaaseen Ai Taabaan

Saturday, February 4, 2012

Ek Ghazal Ke Teen Ashaar

Soch Se Lafz Bhi Hai, Fel Bhi Hai, Aadat Bhi
Soch Ulti Ho To Kirdar Bhi Ulta Hoga

Jab Amal Ishq Ka Ho Dasht Men Aahen Bharna
Husn Ka Radde Amal Sochiye Tab Kya Hoga

Shabshikan Hoti Hai Gulbang Tumhari Taban
Tum Jahan Hoge Wahin Subh Ka Tara Hoga

Wednesday, February 1, 2012

Aya Hai Chhabbees Janwari

Aya Hai Chhabbees Janwari

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar yeh Paigham
Bharat Maa ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Koi Na Ab Majboor Rahega, Koi Na Hoga Rogi
Door Ghareebi Aur jehalat Apne Desh Se Hogi
Hogi Apni Subha Nirali Aur Anokhi Shaam
Bharat Maa ke Veer Saputo Hai Aaram haram

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar yeh Paigham
Bharat Maa ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Apna Man Apne Baazoo Apni Mehnat Ke Sahaare
Jana Hai Majdhar se Aage, Saahil Kare Ishare
Dekho Naa-ahli Ka Tum Par Aaye Na Ilzaam
Bharat Maa ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar Yeh Paigham
Bharat Maa ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Hindu Muslim Sikh Isaai Dale Haath Me Haath
Vijayi Vishwa Tiranga Pyaara Lekar Apne Saath
Aaasmaan Par Likh Denge Hum Bharat Maa Ka Naam
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar Yeh Paigham
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Ugrwad, Atankwad, Algaowad Ke Sahaare
Jaati Dharam Bhasha Na Krayen Desh Ke Phir Batware
Desh Ko Tukde Karne Ki Ho Har Koshish Nakam
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar Yeh Paigham
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Apna Desh Hai Apne Shasak Apne Vidhi Vidhan
Satya Ahinsa ke Bal Par Ho Dharti Ka Kalyaan
Gandhi, Nehru, Tilak, Gokhle, Indra Ko Parnaam
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

Aya Hai Chhabbees Janwari Lekar Yeh Paigham
Bharat Maa Ke Veer Saputo Hai Aaram Haraam

*************************************