Sapno ki Sundar Nagri me baitha Aas Bandhaye kaun
Mai Dukh ki dhooli me lipta sukh sagar chalkhaye kaun
mujhko kamini ki abhilasha Kamini ko kanchan ki bhook
Bolo tum bin bhagya vidhata sote bhaagya jagaye kaun
dhadhak rahi hai virah ki agni aas ke sukhe patton par
prem nagar ki phulwari me milan ke phool khilaye kaun
chuniri bhigi tan bheega hum jhoomte sawan tak pahunche
shant kare jo antar jawala aisa jal barsaye kaun
Pyaas bujhayi maine sabki mai hi ab tak pyasa hun
maine sabko gale lagaya mujhkop gale ;agaye kaun
raat aur din ke madhur milan si taban mere aangan me
sandhaya aur usha ban nit mujhse aankh milaye kaun
Friday, April 16, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
A man born in Beerbhum Bangal in August 1946.
ReplyDeleteApent his life in schools as a Maths teacher.
But at the same time a grea poet.
Inspired by rabindar Nath tagore.
Ghalib,
Allam Iqbal
Khalil Jibran,
Shaikh Saad
Maulana Rome and many more
and at last Published his BOOK Nasim
Saans Ukhdi Jaye hai dil hai ke dooba jaye hai
ReplyDeleteAshhab-e-Aiyam hai lekin ke dauda jaye hai
Baraha tere taghaful ka teri zulfon ki laag
reg zaare waqt par barkha si lahra jaye hai
Paththa ka dil Paththar ke lab Pathatar hi ki aankhen lana hai
ReplyDeletePaththar ke is desh me ab paththar ki murat ban jana hai
Neeli kaali bhuri aankhen
ReplyDeletechamkili badami aankhen
surmai shokh sharabi aanken
neend se bojhal nandasi aankhen
bhuki aankhen nangi aankhne
aankhon ke is bojh se dab ke mar jaayengi
piya milan ki pyasi aankhen