Popular Posts

Total Pageviews

Taban Wasti

Taban Wasti

Friday, April 16, 2010

Kaun

Sapno ki Sundar Nagri me baitha Aas Bandhaye kaun
Mai Dukh ki dhooli me lipta sukh sagar chalkhaye kaun

mujhko kamini ki abhilasha Kamini ko kanchan ki bhook
Bolo tum bin bhagya vidhata sote bhaagya jagaye kaun

dhadhak rahi hai virah ki agni aas ke sukhe patton par
prem nagar ki phulwari me milan ke phool khilaye kaun


chuniri bhigi tan bheega hum jhoomte sawan tak pahunche
shant kare jo antar jawala aisa jal barsaye kaun

Pyaas bujhayi maine sabki mai hi ab tak pyasa hun
maine sabko gale lagaya mujhkop gale ;agaye kaun

raat aur din ke madhur milan si taban mere aangan me
sandhaya aur usha ban nit mujhse aankh milaye kaun